Saraswati Chalisa

"Doha"

Janak Janani Pad Kamal Raj, Nij Mastak Par Dhaari,
Bandau Maatu Saraswati, Buddhi Bal De Daataari.
Purn Jagat Mein Vyaapt Tav, Mahima Amit Anantu,
Ramsaagar Ke Paap Ko, Maatu Tuhi Ab Hantu.

Jay Shri Sakal Buddhi Balaraasi, Jay Sarvagya Amar Avinaasi.
Jay Jay Veenaakar Dhaari, Karati Sadaa Suhans Savaari.

Roop Chaturbhujadhaari Maata, Sakal Vishv Andar Vikhyaata.
Jag Mein Paap Buddhi Jab Hoti, Jabahi Dharm Ki Phiki Jyoti.

Tabahi Maatu Le Nij Avataara, Paap Heen Karati Mahi Taara.
Baalmiki Ji The Baham Gyaani, Tav Prasaad Janie Sansaara.

Raamaayan Jo Rache Banaai, Aadi Kavi Ki Padavi Paai.
Kalidaas Jo Bhaye Vikhyaata, Teri Kripaa Drishti Se Maata.

Tulasi Sur Aadi Vidvaana, Bhaye Aur Jo Gyaani Nana.
Tinhahi Na Aur Raheu Avalamba, Keval Kripa Aapaki Amba.

Saraswati Ma

Karahu Kripa Soi Maatu Bhavaani, Dukhit Din Nij Daasahi Jaani.
Putra Karai Aparaadh Bahuta, Tehi Na Dharai Chitt Sundar Maata.

Raakhu Laaj Janani Ab Meri, Vinay Karu Bahu Bhaanti Ghaneri.
Mein Anaath Teri Avalamba, Kripa Karau Jay Jay Jagadamba.

Madhu Kaitabh Jo Ati Balavaana, Baahuyuddh Vishnu Te Thaana.
Samar Hajaar Paanch Mein Ghora, Phir Bhi Mukh Unase Nahi Mora.

Maatu Sahaay Bhai Tehi Kaala, Buddhi Viparit Kari Khalahaala.
Tehi Mrityu Bhai Khal Keri, Purvahu Maatu Manorath Meri.

Chand Mund Jo The Vikhyaata, Chhan Mahi Sanhaareu Tehi Maata.
Raktabij Se Samarth Paapi, Sur-Muni Hriday Dhara Sab Kampi.

Kaateu Sir Jim Kadali Khamba, Baar Baar Binavau Jagadamba.
Jag Prasidhdh Jo Shumbh Nishumbha, Chhin Me Badhe Taahi Tu Amba.

Bharat-Maatu Budhi Phereu Jaai, Ramachandra Banvaas Karaai.
Ehi Vidhi Raavan Vadh Tum Kinha, Sur Nar Muni Sab Kahu Sukh Dinha.

Ko Samarath Tav Yash Gun Gaana, Nigam Anaadi Anant Bakhaana.
Vishnu Rudra Aj Sakahi Na Maari, Jinki Ho Tum Rakshaakaari.

Rakt Dantika Aur Shataakshi, Naam Apaar Hai Daanav Bhakshi.
Durgam Kaaj Dhara Par Kinha, Durga Naam Sakal Jag Linha.

Durg Aadi Harani Tu Maata, Kripa Karahu Jab Jab Sukhadaata.
Nrip Kopit Jo Maaran Chaahei, Kaanan Mein Ghere Mrig Naahei.

Saagar MadhyA Pot Ke Bhange, Ati Toofaan Nahi Kou Sange.
Bhoot Pret Baadha Yaa Dukh Mein, Ho Daridra Athava Sankat Mein.

Naam Jape Mangal Sab Koi, Sanshay Isame Karai Na Koi.
Putrahin Jo Aatur Bhaai, Sabei Chhaandi Puje Ehi Maai.

Karai Path Nit Yah Chaalisa, Hoy Putra Sundar Gun Isa.
Dhupaadik Naivedy Chadhavei, Sankat Rahit Avashya Ho Jaavei.

Bhakti Maatu Ki Karei Hamesha, Nikat Na Aavei Taahi Kalesha.
Bandi Path Kare Shat Baara, Bandi Paash Door Ho Saara.

Karahu Kripa Bhavmukti Bhavaani, Mo kahn Daas Sadaa Nij Jaani.

"Doha"

Maata Sooraj Kaanti Tav, Andhakaar Mam Roop,
Dooban Te Raksha Karahu, Paru Na Mein Bhav-Koop.
Bal Buddhi Vidya Dehu Mohi, Sunahu Sarasvati Maatu,
Adham Ramasaagarahi Tum, Aashray Deu Punaatu.

Copyright © 2009 jabreshwarmahadev.com