Maa Santoshi Chalisa

Yug Ki Adi Shakti, Jag Men Prachalit Hai Nav Bhakti
Adi, Madhya Aur Avasana, Teri Gati Vidhi Koi Na Jana
Nirmal Shradha Men Khush Hoti, Thode Men Santusht Ho Jati
Kali Men Nam Dharyo Santoshi, Agni Tulya Pratyaksha-Vishekhi

Kala, Gyan, Bal, Vidya, Datri,Tum Sam Saral Sukhadan Hindhatri
Sakal Charachar Tum Se Chalte, Bhut-Pret Yamdut Sinharte
Dusht Dalan Sanhar Karni,Mata Tum Brahmanda Dharini
SarasWati Lakshmi Aur Kali,Amit Shakti Ki Khan Nirali

Tumhare Sharan Gahe Jo Koi,Mano Kamana Purna Hoi
Tum Ganesh Ki Man Kanya,Tumse Dharti Ho Gai Dhanya

Riddhi, Siddhi, Hai Tumhari Mata,Mangalmai Vardan Ke Data
Brahma, Vishnu, Mahesh, Trimaya, Us Ka Tujh Men Hai Samaya

Sir Par Kanchan Mukut Suhata,Sundar Ratn Sa Muh Dikhata
Madhur-Manohar Mukhda Komal,Pushpamal Aur Shyamal Kuntal

Santoshi Mata

Alankar Sohit Hain Ang Mein,Navya Divya Tan Meru Rang Mein
Sundar Vastra Mein Mala Rakhti,Darshak Ke Man Vash Mein Karti

Ga Trilakh Da Dhare Do Hatha Chatur Bhuji Ko Tekahu Matha
Sanmukh Amritbhari Surahi,Sath Kamdhenu Manchahi

Svarn Kalash Rahta Hai AAge,Bhakton Ke Saubhag Ya Ham Jage
Tumhare Bhaktibhav Jo Pave,Ajar Amar Jag Mein Ho Jave

Namo Namo, Jagtaran Hari,Dukh Daridra Taro Mahtari
Shukravar Din Ati Anukula,Santoshi Vrat Mangalmula

Bahuvidhi Mat Ki Puja Kar,Santoshi Kl Katha Shravan Kar
Gud Aur Chana Prasad Chadhave, Nirhar Ek Jun Manave

Nahin To Matu Kupitu Ho Jati,Bansh Sahit Santan Nasati
Shukravar Solah Vrat Rakhe,Udya Pan-Utsah Se Manave
Phir To Ichchha Puran Hoi,Matu Kripa Se Der Na Hoi

Adbhut Devi Chamatkarini,Pal Men Chinta Pidha Harini
Ja Par Kripa Matu Ki Hoi,Jit Sake Na Usko Koi

Dhanvivek Sukhshanti Pradayini,Is Yug Ki Navpran Vidhayini
Tum Sam Devi Kou Naahi, Dekh Liya Mein Tribhuvan Maahi

Dukh Ati Pai Bahu Bichari,Pati Viyog Ki Vah Dukhyari
Nariyal-Khopar Pikar Pani, Bhus Ki Roti Khai Abhagini
Santoshi Maa Ka Vrat Jo Kinhai,Pati Sahit Vaibhav Pa Linha

Pida, Chinta Katahu Mata, Ashtsiddhi Navanidhi Ki Data
Santoshi Upvas Kare Jo, Sukh Sampati Ka Bhog Kare Vo

Vahan Vahan Sab Thaur Samai,Tumhari Mahima Kahi Na Jai
Man Vanchhit Var Pavai Kvari, Paye Suhag Sadhva Sannari

Sukh Dhan Jan Sab Manokamna, Puran Hogi Satya Janana
Path Sava Sau Karai Jo Ko i,Mitai Kasht Sukh-Sampati Hoi.

Dohaa

Hey Santoshi Sankat Haran,HeY Chamatkar Ki Murti
Grah Badha Ko Dur Kar, Karo Mano Kamna Purti.

Copyright © 2009 jabreshwarmahadev.com